Wednesday, February 27, 2008

Beautiful lyrics

Main aur meri tanhayee aksar ye batein karte hain
Tum hoti to kaisa hota.

tum yeh kehti, tum woh kehti.
tum is baat pe hairan hoti tum is baat pe kitna hansti.

tum hoti to aisa hota tum hoti to waisa hota.
main aur meri tanhayee aksar ye baatein karte hain.

yeh khahan aa gaye hum yuhin saath saath chalte
teri bahon mein hai janam mere jismo jaan phighalte.

yeh raat hai ki tumhari julfein khuli hui hain
yeh chandni hai ya tumhari nazron se meri ratein ghiri hui hain

yeh chand hai ya tumhara kangan
sitare hain ya tumhara anchal

hawa ka jhonka hai ya tumhare badan ki khushboo
yeh pattiyon ki hai sarsarahat ya tumne chupke se kuch kaha hai

yeh sochta hoon main kab se gumsum
ki jab ke mujko bhi pata hai ki tum nahi ho kahin nahi ho

magar yeh dil hai ki keh raha hai ki tum yahin ho yahin kahin ho

tu badan hai mein hoon saya
tu na ho to mein kahan hoon
mujhe pyar karne wale tu jahan hai main wahan hoon
hamein milna hi tha hum dum kisi raah bhi nikalte'

meri sans sans mehke jaise bheena bheena chandan
tera pyar chandani hai mera maan hai jaise aagan
hui aur bhi mulayam meri sham dhalte dhalte

majboor yeh halat idahr bhi hain aur udhar bhi
tanhai ki yeh raat idhar bhi hai aur udhar bhi

kehne ko to bahut kuch hai magar kis se kahein hum
kab tak yunhi khamosh rahein hum
dil kehta hai duniya ki hgar rasmo utha dein
diwar jo hum dono mein hain aaj gira dein

kyun dil mein sulagte rahein , logon ko bata dein
ki hum ko mohhabat hai, mohhabat hai.
ab dil mein yehi baat idhar bhi hai aur udhar bhi

0 comments: